Wednesday, February 16, 2011

Ghazal

Nahi milti mohabbat but kado'n mein khaahkaho'n mein
Ye maey wo hai jo dhalti haihaseeno'n ki nigaaho'n mein

Hue barbaad jo maher o wafa ki shaah raaho'n mein
Wahi hain qaabil e tauqeer insaa'n ki nigaaho'n mein

Kabhi ek qatra e maey maangne se bhi nahi milta
kabhi milti hai bin maa'nge nigaaho'n hi nigaaho'n mein

Hawa ke saath ham bhi chal pade they sair e gulshan ko
Kise maloom tha kaa'nte bhi kuch ayenge raaho'n mein

Zamana hai ke ab chhootey nahi kaa'nte bhi talwo'n ko
Zamana tha ke kaa'nte phool they apni nigaaho'n mein

Churali aa'nkh aksar doston ne waqt aane par
Magar badkhwaah kuch nikle bade hi khair khwaaho'n mein

Durr e maqsad ki kam yaabi bahut mash'hoor hai lekin
Ise paya hai aksar dhoo'ndne walo'n ne raaho'n mein

Main apni shayri ki qadr o qeemat kya kahun 'Muslim'
Lutaaye hain guhar reze,sukhan ke maine raaho'n mein.

No comments:

Post a Comment