Wednesday, February 16, 2011

waqt ki raftaar

Kali ki wazadaari,khaar ke kirdaar ko samjho
Chalan dekho saba ke,phool ke atwaar ko samjho
Khizaa'n lipti hui aati hai daaman se bahaaro'n ke
Chaman walo'n! khuda ra waqt ki raftaar ko samjho

Ghazal

Nahi milti mohabbat but kado'n mein khaahkaho'n mein
Ye maey wo hai jo dhalti haihaseeno'n ki nigaaho'n mein

Hue barbaad jo maher o wafa ki shaah raaho'n mein
Wahi hain qaabil e tauqeer insaa'n ki nigaaho'n mein

Kabhi ek qatra e maey maangne se bhi nahi milta
kabhi milti hai bin maa'nge nigaaho'n hi nigaaho'n mein

Hawa ke saath ham bhi chal pade they sair e gulshan ko
Kise maloom tha kaa'nte bhi kuch ayenge raaho'n mein

Zamana hai ke ab chhootey nahi kaa'nte bhi talwo'n ko
Zamana tha ke kaa'nte phool they apni nigaaho'n mein

Churali aa'nkh aksar doston ne waqt aane par
Magar badkhwaah kuch nikle bade hi khair khwaaho'n mein

Durr e maqsad ki kam yaabi bahut mash'hoor hai lekin
Ise paya hai aksar dhoo'ndne walo'n ne raaho'n mein

Main apni shayri ki qadr o qeemat kya kahun 'Muslim'
Lutaaye hain guhar reze,sukhan ke maine raaho'n mein.

Monday, January 3, 2011

Ghazal

Aai jawaani haule! halke!!
poore hue ash'aar ghazal ke

khatm hai tum par naazuk badani
paan se patle,phool se halke!

shaam hai kaisi shaam suhaani?
zulf ke saaye halke halke

sham'aa kahin tum,phool kahin tum
aaye ho kya kya roop badal ke

yun hi tez sharaab e mohabbat
tund hui aur aankhon mein dhal ke

tum bhi naazuk,wo bhi naazuk
pheink diya kyun phool masal ke?

muslim peeri aagai tauba!
toote taar ab saaz e ghazal ke.

Ghazal...

Jhil mil taare raat dhali
suni suni teri gali

uff re jawani! Haaye re nind!
subah hui, karwat bhi na li

saare haseeno'n me wo hasee'n
gulshan bhar me ek kali

nain ke baan hain zaher bujhe
baatein hain misri ki dali

aankh ke aa'nsu dil ki lagan
palko'n palko'n sham'aa jali

dil ke piche ham majbur
qismat aage aage chali

deewana,deewana sahi
keh jata hai baat bhali

'muslim' raah e haram thi dur
aagaye bhool ke kaun gali?

Friday, December 31, 2010

Ghazal...Hai haqeeqat ek

Hai haqeeqat ek lekin kitne afsane bane
Sainkdo'n kaabe bane laakho'n sanam khaane bane.


Ibteda ye thi ke ham banne chale they hoshmand.
Inteha ye hai ke bante bante deewane bane.


Kuch na kah qaasid! Diya us sangdil ne kya jawaab
Apni jaan e naatawa'n par kya khuda jaane bane?


Unke hi ism e giraami ka faqat charcha nahi.
 Kuch hamare naam e naami se bhi afsane bane


Chehra e gulgoon e saaqi se jo tapki,maey bani.
 Mast aankho'n se jo nikle dhal ke paimaane bane.


Puchte hain kis tajaahul se ke ye 'muslim' kaun hai?
Uff re! ham shaher e butaa'n mein aise begaane bane.

Wednesday, December 29, 2010

Dua

Izzat tujhi se hai sarbulando'n keliye

Taskeen e jigar hai dard mando'n keliye,



Wo soz e duroo'n ataa ho mujhko ya rab!

Rakha hai tune jo khaas bando'n keliye.

Sunday, December 19, 2010

Hazaar anjum

Bheegi hui palkon ke jalte hue ye ansu/ tharraayen to angaaray hain,nikhrein to 'hazaar anjum'.